Hamare dada-dadi , nana-nani,Uncle aunty, papa-mummy is video ko dekh rahe hain unhe Tanmay zone ki taraf se Pranam or hamare dost,bhai,behan,cousins ko Tanmay zone ka khushi bhara salam , hi and namaste
bhala khush rehna kaun nahin chahta hai .khusiyon ki talaash mein sab lage huye hai .Aapne hamari kal ki video to dekhi hi hogi usme humne ye hi bataya hai ki aaj ka insaan sirf or sirf paise ke peeche hi daud lagata hai or muskurana bhi bhul jaata hai to aaj hum Tanmay Zone aapko Khush rehne ka ek formula ,ya ek tonic ya tablet dete hain
jise apna kar aap aasaani se apne jeevan mein khush reh sakenge.
Khushi = Dukh ko apni life se subtract karo , purani achi yaadon ki window ko apni life mein add karo or Zindagi mein se stress ko bolo meri zindagi se jaane ka kya loge tum ...Bas zindagi apne aap hi khushi se bhar jayegi
1) dont compare yaani kisi aur se tulna na karna -
hum sab ki aadat hai ki apne padosi,rishtedaron ,doston aadi se tulna karne ki. ki unke paas bada ghar hai ,bada tv hai, badi gaadi hai ,jyada jameen jaaydaat hai aadi aisi hi tamaam prakaar ki baton ko lekar dusron se compare yaani tulna karne mein lage rehte hai. jisse aapki khushiyan aapse chinti chali jaati hai. jo aapke paas hai uska aanand nahin le paate hai. isliye sabse pehle aap dusron se tulna yaani compare karna band kar dijiye.
2) dont cry every time -
kuch logon ko aap dekhte honge woh hamesha rote hi rehte hai .hamesha rone jaisi shakal banaye rakhte hai. unko kitna bhi mil jaaye lekin phir bhi kisi na kisi baat ko lekar rote hi rehte hai. khush rehna hai toh rona chodiye.
3) dont criticize yaani kisi ki buraai na karna -
kuch log hote hai jo sirf saamne wale mein nuksh nikaalte rehte hai ,unki buraai karne mein hi lage rehte hai. aise log sirf dusron ki buraai karte rehne se khud khushiyon se dur hote chale jaate hai.
4) dont complaint yaani hamesha shikayat nahin karna chahiye -
is shreni mein bhi kuch log hote hai jo sirf shikayat karne mein lage rehte hai. jisse na toh khud khush reh paate hai aur na hi dusron ko khush rehne dete hai.
5) always compliment yaani acche kaam ki tareef Zarur karein -
jab hume kisi ka kaam accha lage to uski tareef jarur karein. hum aksar saamne wale ki tareef karna bhul jaate hai. aap hamesha khush rahenge.
ant mein doston ye 5 C ka formula aapke jeevan mein khushiyan laane mein bahut madadgaar saabit hoga.
Comments